Total Pageviews

Sunday, February 21, 2010

Aasmaan(POEM)

Jab upar dekta hoon,

Ek vishaal samundar nazar aata hai,

Jisme badaal machliyon ki tarah,

Tairte rehte hain!

Dur se dekte hain to,

neela paani dikta hai,

Telescope se dekte hain to,

Ghane andhere mein roshni ki kiran dikhti hai!

Pata nahi kitne raaz chupe hue hain,

Dharti se milon dur us aasmaan mein!

Sach hai,

Ek aasmaan dur gagan mein hai,

Aur Ek Dil ki dhadkano mein hai!

Khelte Khelte,

Bahut sadiyaan beet jayengi,

In dono ko samajhna mushkil hi nahi,

Namumkin bhi hai!!!

Dil Ki Baat(POEM)

Kya karein , kya na karein,

Kisko apni baat kahein, kisse na kahe,

Bas sochte hain hum!

Yun to Dil ki baat zubaan par aati hai,

Par kehne se pehle ,

Dil mein hi reh jaati hai!

Is Dil ko kaise samjhe,

Samajh nahi pate hain hum!

Ye dil to naadan hai,

Kissi ne sach hi kaha hai,

Dil to Ek Bachha hai!

Dil ki majhburi bhi samjho,

Bas In lamho ko khulke ji lo,

Dil ki baat agar zubaan par nahi aati to kya hua, 

Aankhon se samajh mein aa jati hai!!!